What Is Ghazal
What Is GhazalÂ
Ghazalon ka hamare life mein kya role hai ye to har wo shakhs samajh sakta hai jo Ghalzal ki gahraiyon ko pahchanta hai. Then agar aapse koi puchta hai What Is Ghazal? To Ghazal wo hoti hai jab kisi shayar ki Dill ki kaifiyat Ghazal ki surat me zubaan par aa jati hai.Â
![]() |
What Is Ghazal |
Ghazal-1.Â
Saron ke saye chin jate hai
Saron ke saye chin jate hai be-mausam jab nikalti hai,Â
Uda deti hai kheme jab hawa-e-gam nikalti hai,Â
Abhi to satah khurchi hai abhi se thak gaye baazu,Â
Zameen jitni bhi kaati jaye utni nam nikalti hai,Â
Rihayi ke dahaanon par kayi suraj musallat hai, Zameen ki qaid se bahar kaha shabnam nikalti hai,Â
Mai sari zindagi mein ek bhi baazi nahi jeeta,Â
Talab karta hu ikka taaah se begam nikalti hai,Â
Aur chhapparon me raaz poshida anhi rahte,Â
Zara oonche gharon ki baat bahar kam nikalti hai.Â
Ghazal-2.Â
Dariya ko aur koi bahana to hai nahi
Dariya ko aur koi bahana to hai nahi,Â
Kahta hai chal ki tera thikana to hai nahi,Â
Ab kah diya to sath nibhayenge umr bhar,Â
Hala-nki dosti ka zamana to hai nahi,Â
Laawa sa khaulta hai sada andrun-e-zaat,Â
Aatash-fashane gham ka dahana to hai nahi,Â
Deewana hai jo usse tawaqqo rakhe koi,Â
Aakhir wo rahnuma hai deewana to hai nahi,Â
 Thodi si raushni hai ise jo bhi loot le,Â
Jugnu miyan ke paas khazana to hai nahi,Â
Sab Ja-e-hadisa se bahut door ho gaye,Â
Zakhmi ki cheekh koi tarana to hai nahi,Â
Chubh jayen jane kisko 'Muzaffar' hamare sher,Â
Apna bhi koi khaas nishaan to hai nahi.Â
Ghazal-3.Â
Uda kya jo rukh par hawa ke uda
Uda kya jo rukh par hawa ke uda
Uda kya jo rukh par hawa ke uda,Â
Ki usse to achcha hu mai be-uda,Â
Kisi din achanak qareeb aa ki tu,Â
Tasawwur mein mere parkhache uda,Â
Abhi tak nazar mein hai apna wujood,Â
Takhayyul zara aur oonche uda,Â
Jise sab samjhte the be-baton par,Â
Wahi ek parinda qafas le uda,Â
'Shuja' Aandhiyon ki karo fikr tum,Â
Wo aayi saher aur mai ve-uda.Â
End
Ghazal-4Â
Jo ghairat bech kar aaye kamaai zaher lagti hai
Jo gairat bech kar aaye kamaai zaher lagti hai,Â
Dar-e-zardar ki hamko gadaiyi zaher lagti hai,Â
Ho jisme jurm poshida mithai zaher lagti hai,Â
Shareef insaan ko rishwat ki kamayi zaher lagti hai,Â
Jise Haq aashna ki lab kushayi zaher lagti hai,Â
Hamein us raahbar ki rahnumayi zaher lagti hai,Â
Muqabil ho agar dushman maza aata hai ladne ka,Â
Kisi ke peeth peeche ho burayi zaher lagti hai,Â
Lada kar hamko aapas mein bahut kamzor kar dala,Â
Hamein makkar Hakim ki safaai zaher lagti hai,Â
Gina deta hai wo ahsaan zara si baat pe 'Akbar'
Hamein ab aise bhai ki bhalayi zaher lagti hai.Â
End
Ghazal-5Â
Haath faila ke ameeron ki taraf dekhe hai,
Haath faila ke ameeron ki taraf dekhe hai,Â
Wo samundar mein jazeeron ki taraf dekhe hai,Â
Jang jab jeetna maqsad bhi hai manzil bhi hai,Â
Kaun udte huye teeron ki taraf dekhe hai,Â
Kyun haqarat bhari aankhon se zamane ka mizaj,Â
Teri chahat ke aseeron ki taraf dekhe hai.Â
Badshahat bhi pahadon ki bulandi se yaha,Â
Ghaas par baithe faqiron ki taraf dekhe hai,Â
Jisko chehre ko parakhna bhi nahi aata,Â
Kyun hatheli ki lakiron ki taraf dekhe hai.Â
Post a Comment