Best Romantic Ghazal Ahmad Faraz

Best Romantic Ghazal Ahmad Faraz

Is baat ka andaza to ham sabko hi hai ki rumaan ke bina zindagi me kuch kami hone ka sa ehsaas hota hai.Ab wo rumaan chahe kayenat ke hare-bhare manazir se ho ya ham insanon me ek dusre ke darmiyan ke rishte jo hamari zindagi me ahem hote hain. To aaiye ham bhi yaha aisi hi kuch shayariyon par nazar dalte hai.Yaha par di gayi Best Romantic Ghazal Ahmad Faraz ne likha hai. 

Ahmad Faraz as a shayar 

Ahmad Faraz ki Ghazlon aur Nazmon ke bahot sare collection publish huye hain, jinmein
Ghazal Collection;-Khanabadosh,Zindagi aye Zindagi and Dard Aashob & Ghazal and Nazm Collection;- Ye Meri Ghazlein Ye Meri Nazmein  include hain. Faraz ki shayari mein aapko dard aur muhabbat dono hi dekhne ko milta hai. Yahan di gayi Ghazal mein Faraz ne muhabbat zahir ki hai.

Best Romantic Ghazal Ahmad Faraz
Best Romantic Ghazal Ahmad Faraz

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hai

Ahmad Faraz
Interesting Fact:
Film:- Jannat ki talash (1999) 


Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hai
So uske shahar me kuch din thahar ke dekhte hai

Suna hai rabt hai usko kharab-haalon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte hai

Suna hai dard ki gahak hai cham-e-naaz uski
So hambhi uski gali se guzar ke dekhte hai

Suna hai usko bhi hai sher-o-shayari se shaghaf
So hambhi Mo'jize apne hunar ke dekhte hai

Suna hai bole to baaton se phool jhadte hai
Ye baat hai ki chalo baat kar ke dekhte hai

Suna hai raat use chand takta rahta hai
Sitara baam-e-falak se utar ke dekhte hai

Suna hai din ko use titliyaan sataati hai
Suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hai

Suna hai hashr hai uski ghazala si aankhen
Suna hai usko hisn dasht bhar ke dekhte hai

Suna hai raat se badh kar hai kaakalen uski
Suna hai shaam ko aaye guzar ke dekhte hai

Suna hai uski siyah-chashmgi qayamat hai
So uski surma-farosh aahe bhar ke dekhte hai

Suna hai uske labon se gulaab jalte hai
So ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hai

Suna hai aaina timsaal hai zuban uski
Jo sada-dill han use ban-sanwar ke dekhte hai

Suna hai jab se hamail hai uski gardaan me
Mizaj aur hi laal o guhar ke dekhte hai

Suna hai uske badan ki tarash aisi hai
Ki phool apni qabayen katar ke dekhte hai

Wo sarv-qad  hai lekin be-gul-muraad nahi
Ki us shahar pe shagufe samar ke dekhte hai

Bas ek nigaah se lut-ta hai qafila dill ka
So rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hai

Suna hai uski shabastiyan se muttasil hai bahisht
Makeen udhr ke bhi jalwe idhr ke dekhte hai

Ruke to gardishen uska tawaaf karti hai
Chale to usko zamane thahar ke dekhte hai

Kisi naseeb ki be-pairhal use dekhe
Kabhi kabhi dar-o-deewar ghar ke  dekhte hai

Kahaniyan hi sahi sab mubaalge hi sahi
Agar wo khwab hai taabeer kar ke dekhte hai

Ab uske shahar me thahren ki kooch kar jayenge
'Faraz' aao sitare safar kar ke dekhte hai








No comments

Powered by Blogger.